How To Root Android Phone (Lava Iris X8) After Updating to Lollipop 2018: hello dosto aap logo ne Apne Android devices Lollipop ya Marshmallow me update to kiye hi honge or agar aapka phone KitKat Version me Rooted raha hoga to jahir si baat hai ki Lollipop me upgrade karne Ke baad WO Unroot Ho gaye honge isi liye aaj ki post me main aapko bataunga ki How to root android device after updating to lollipop 2018 Without pc Using King Root latest version phone ko root karne se aap all without permission wale apps ko use kar sakte hai or aap all hacking tools and awesome apps after root use kar sakte hai
Friends aaj mai Jo Android Rooting Process bata raha hun WO Lollipop me upgrade kiye gaye Android phones Ke liye hai Mere Pass Lava Iris X8 Phone hai jab ye KitKat me tha to Maine use Root Kiya tha Lekin jab Maine ise Lollipop Me Update kiya to ye Automatically Unroot Ho gaya tha tab Mujhe Lava Iris X8 ko root karne me bahut problems aayi Maine Almost Sabhi Root apps Try kar liye the lekin phone root nahi huwa yaha tak ki Maine King Root Bhi Try Kiya tha lekin us time phone root nahi ho gaya Lekin Ab King Root Ka Latest Version aa gaya hai or ab aap Apne Lollipop Updated Phone Ko Root Kar Sakte hai WO bhi without PC
Use All Apps After Root : agar aapka lollipop phone ek baar root ho gaya to aap Apne phone me WO sab apps use kar pawoge Jo aap without rooted phone me nahi kar sakte jese ki Greenify : iski help se aap Apne android phone ki battery life, backup bada sakte hai,
Dumpster : bhi ek best app hai jise app rooted phone me use kar sakte hai wese to ise ham Unrooted phone me bhi use kar sakte hai but agar ham use rooted phone me use karenge to hame all features unlocked milenge Dumpster Recycle Bin Feature hai jisse ham files backup and Recovery kar sakte hai,
AdBlock Plus : app ki help se ham ads ko block kar sakte hai kai baar hame Apne Android phone me faltu ki advertising dikhai dete hai inhe ham AdBlock Plus Se Block kar sakte hai Jo Rooted Phone ke liye hai
Aise hi kai sare top and best apps hai jinhe aap without Root Use nahi kar sakte or isi liye hame phone ko Root karne ki jarurat padti hai
King Root Se Kon Se Android Phones Ko Root kar Sakte Hai List !
Samsung
Lava
HTC
ZTE
LG Devices
Huawei phones
Micromax
Motorola
Sony
intex
Lenovo
Xiaomi
Almost sare Android phones and devices ko King Root Support Karta hai Aap Apne Apne Android Mobile par ise try kar sakte hai
Lollipop me update kiye gaye Android Phone Ko Root Karne Ke Liye Kya Kya Chahiye | Requirements
1) King Root ka Latest Version Jo aap yaha se Download kar sakte ho : http://kingroot.net
2) Unroot Android Phone ( KitKat, Lollipop, marshmallow Not Tested)
How To Root Android Phone After Updating to Lollipop 2018
1) Sabse pehle Android phone ki Settings + About Pone + Build Number par click karke Apne Android phone ki setting me Developer Option Enabled kare
2) King Root ka Latest Version Download Kare jiski link Maine upar di hai
3) ab King Root ko open Kare or root option me Try It par click kare fir aapki Rooting Process Suru Ho Jayegi Jese Aap Screen Shot me dekh Rahe ho or jese Hi Process 100% ho jayegi To phone Root Ho jayega
3) jab king Root me Root Successfully Ki Notification aa jayegi To Aapka Phone Automatic Reboot Hoga agar automatic Reboot Nahi Hoga To Aap Khud Restart Karne
Kaise pata kare Phone Root Ho Gaya Hai Ya Nahi ???
Ab aap soch Rahe Hinge ki agar ham ye sab process kar bhi le to Kaise pata kare ki phone asal me Root Huwa bhi ya Nahi to uske liye aapko Root Checker Android App Download karna hoga Root checker se aapko pata lag jayega ki aapka phone Rooted Hai Ya Nahi jese Maine kiya hai aap Screen Shot Bhi Dekh Sakte Ho
To is trah se aap Apne Lollipop Version par chalne wale phone ko Without PC Root Kar Sakte Hai king Root ek Safe And Trusted App hai ispar aap Viswas karne Apne phone ko Root kar sakte hai Is App Se phone ke damage Hone Ke Chance's Bahut Kam Hote Hai
Top 10 Rooted apps : Android phone ko root kaise karte hai (top 5 apps se)
Agar aap bhi Apne smartphone ko Lollipop Me Update karne Ke baad Root nahi kar pa rahe ho to aap king Root Ka Latest Version Try Kare aapka phone. root jarur Hoga ye ek sabse aasan Tarika hai aaj ki Post: How To Root Android Phone (Lava Iris X8) After Updating to Lollipop 2018
Aane wale time me mai aapko Custom Roms And Custom Recovery Flash karna sikhaunga or sath hi sath Android Ki kuch New Tips Tricks Bhi Bataunga
1 comments:
King root not installing
ReplyEmoticonEmoticon