-->
.

Friday 25 November 2016

Android Apps And Games Ko Edit Kaise Kare (Apk Editor Se)

author photo

Dosto kitna achaa hota agar aap Android App/ application  and Games me kuch editing kar sakte jese ki Apps Name Editing, App and Games Icon Editing, Files Editing etc agar aap bhi games and apk files ko moded (Modify) banana chahte hai to mai aaj aapko bataunga ki apk editor pro app ki help se android app ko edit kaise kare jese Magisto Vest Video Editor app hai wese hi Apk Editor Pro Bhi ek Best Editor software hai or aaj mai aapko yahi bataunga ki kaise apk editor app se android application ko edit kiya jata hai or is app ko aap Without Root use kar sakte ho



Android App Editor ki jarurat hame tab padti hai jab ham android apk, Games ke Names, files, icons edit karte hai or apk edit karne ke liye Apk Editor Pro Best Application hai isme aapko kai sare feature milte hai jine aap phone ko bina root kiye hi use kar sakte hai or agar aap apne android phone ko root karna chahte hai to yaha click kare is post Me Maine Top 5 Android Root apps ke baare me bataya hai

Is post me mai aapko bs itna hi bataunga ki apps and games ka name package name colour icons etc change karke app ko modify kaise karte hai lekin aane wali posts me mai aapko bataunga How To Make Online PHP Script of any Referral And Earn Android app 2017 or sath hi sath ye bhi bataunga ki API kya hai API Key kya hoti hai or app I'd ka kya use hai ye sab aapko janne lo milega sirf tekonly par

Android Phone Me Auto Call Recording On (Enable) Kaise Kare
WiFi ka password hack kaise karte hai Android phone se (without root)
Android phone me IP address ko hide kaise karte hai {top 5 apps se}

How To Rename Android Apps and Change their Icons

Apk editor Software Google play store par paid milta hai isliye aap ise play store se download nahi kar sakte isliye mai is app ko free me download karne ke liye link dunga jiski help se aap is apk editor ko free me download kar sakte hai


Apk Editor application ke faide || 

Apk editor ka sabse bada faida ye hai ki is app ki help se aap kisi bhi Referral and earn app ko Hack kar sakte hai jese ki Mcent ! apk editor se aap mCent App Bypass karke Unlimited Mcent Money Earn kar Sakte hai 



Android Application Ke Name Ko Edit And Rename Kaise Karte hai Apk Editor Se


1) sabse pehle yaha se download karne : Apk Editor Pro For Android

2) app ko open kare or Select Apk From App par Click Kare

android-apps-and-games-ko-edit-kaise-karte-hai


3) ab us Application par click kare jiske Name ko aapne edit karna hai jese Maine Mini Militia par click kiya hai  click karne ke baad Common Edit click kare jese aap screen shot me dekh sakte ho


kisi-bhi-android-apps-and-games-ko-edit-kaise-karte-hai


4) Common Edit par Click karne ke baad aapko app ka real name change karke koi bhi name add kar dena hai jese Maine mini militia game ke name par likha hai mini militia mod by Ammi Singh Aise hi aapko bhi kisi bhi aap ka name change karna hai or Save par click karna hai 

mini-militia-game-ko-moded-kaise-banate-hai-hack


5) save karne ke baad aapko app install karne ka option dikhega aapko Install par click Karna hai 

apk-editor-ka-pro-version-kaise-install-kare


Install par click karte hi aapke application and game ka name change ho jayega jese Maine kiya hai 


how-to-edit-and-modify-android-games


Android app and Game ke icons kaise change/Edit kare 

Upar Jo steps Maine aapko bataye WO the android app ke name ko rename edit karne ke liye or ab mai aapko bata raha hun ki android app and game ke icons change kaise kare

1) android games and apps ke icons ko change karne ke liye Apk editor pro software ko open kare and Select Apk From App par click kare 

2) fir jis Apk and game ke icon ko change karna hai uspar click kare or is baar Simple Edit (FILE REPLENISHMENT) par click kare 

how to change android apps and games name and rename


3) Ab aapko 3 option dikhenge FILES, IMAGES, AUDIOS Images ke option par click kare or app ki profile (icon) par edit ke option par click kare jese screen shot me dikhaya gaya hai 

Android-Applications-&-Game-ko-Edit-Ya-Modify-kaise-kare


4) ab aap koi bhi photo ko game icon bana sakte hai jese Maine ek icon already picsArt folder me edit karke rakha hai or ab mai ise replenishment kar ra hun 

android-app-editor-se-android-app-ko-edit-kaise-kare


5) ab aap Save par click kare or app ko install kare 

how-to-edit-and-modify-android-app


fir aap dekh sakte ho ki app ka icon successfully changed ho gaya hai 


Aise hi aap Apk editor se apps and games ko edit kar sakte hai or is app se aap apps ke undar ke audio, videos, and files ko bhi edit kar sakte hai 


Is post me Maine bataya ki Android Apps And Games Ko Edit/modify Kaise karte hai ab aap bhi aasani se apne name ka android apps and game create kar sakte hai wo bhi android phone me or phone ko without root kiye

To enjoy kare is trick ko or agli bar mai aapko bataunga online referral and earning ke liye php script kaise create karte hai or kisi bhi app ki API kaise Find kare or api key kya hoti hai tab tak ke liye ye editing post enjoy kare

This post have 3 comments

avatar
Unknown delete 23 July 2017 at 23:29

App Edit Karke Google Par Dal Sakte Hai

Reply
avatar
Ammi Singh delete 27 July 2017 at 17:29

paly store par nahi daal sakte but google me kisi bhi site par daal sakte hai apna modify kiya huwa app

Reply
avatar
Unknown delete 26 February 2022 at 23:01

Time edit kar sakte kya bhai

Reply


EmoticonEmoticon

Next article Next Post
Previous article Previous Post
 
< -->