hello bloggers aaj main aapko bataunga ki kaise pata kare backlink dofollow hai ya nofollow agar aap ek blogger ho or aapka blogger ya wordpress par koi blog hai to aapko ye janna jaruri hai ki ham jo backlinks bana rahe hai wo do follow hai ya no follow agar aapko bhi abhi tak ye check karna nahi aata to aap is post ko follow kare.
firends wese main kabhi kabhi hi blogging ki post dalta hun lekin aaj kal hindi blogging community me bade bade bloggers ke beech backlinks ke upar hi controversy hai isliye aapka ye janna jaruri hai ki ham jab kisi ke form se koi backlink banate hai to kya wo blog hame do follow backlink deta hai ya no follow isi cheej ko aaj ham check karenge ki jo link hamne apna bahumulya time waste karke banai hai wo dofollow hai ya nofollow backlink hai.
No Follow Links wo link hote hai jinhe search engine robot post ko index karte time ignore kar deta hai. My means search engine nofollow links ko index nahi karta hai. Iska matlab hai ki website owner ya blogger nofollow link use karega to use search engine pass nahi kar sakta ause sirf human yani peoples hi read kar sakte hai.firends wese main kabhi kabhi hi blogging ki post dalta hun lekin aaj kal hindi blogging community me bade bade bloggers ke beech backlinks ke upar hi controversy hai isliye aapka ye janna jaruri hai ki ham jab kisi ke form se koi backlink banate hai to kya wo blog hame do follow backlink deta hai ya no follow isi cheej ko aaj ham check karenge ki jo link hamne apna bahumulya time waste karke banai hai wo dofollow hai ya nofollow backlink hai.
Nofollow Or Dofollow Links Kya Hai
Simple shabdo me kahu to hum nofollow link use kar ke search engine se link ko chupa asakte hai. Or apni site ko search ranking me spam hone se bacha sakte hai. No follow links un site ke liye kiya jata hai. Jo fake site ho sakti hai.
Example No Follow Link:
<a href=”https://www.tekonly.com/” rel=”nofollow”>tekonly</a>
No Follow link use karne ke liye aapko link me sirf rel=”nofollow” code use karna hai. Uske bad search engine is link ko nahi padh sakta.
Do Follow Links Sabhi search engines ko links index karne ko allow karta hai. Yani do followe links ko all search engines pass kar sakte hai. Search engines or human dono is link ko padh sakte ho.
Example Do Follow Link:
<a href=”https://www.tekonly.com/”>Tekonly</a>
Dofollow backlinks or Nofollow backlinks kya hote hai uske baare me or adhik janne ke liye aap supportmeindia site ki nofollow or dofollow links kya hai post pad sakte ho.
Backlinks Dofollow Hai Ya Nofollow Kaise Pata Kare
firends wese to backlinks check karne ke bahut se online SEO tools mozood hai but main aapko ek simple tarika bataunga jisse aap aasani se hi bina kisi online sites ya software ki helps se aap back links check kar sakte hai or pata kar sakte hai ki aakhir ye no follow hai ya do follow iske liye steps follow kare.
Step.1 sabse pehle aap apne laptop se us site par jaye jispar aapne backlink banai hai jese main ek forum par jata hun jispar maine apni site ki link dekar backlink banaya hai.
Step.1 ab site par jane ke baad hame CTRL+U press karna hai or aap us page ke Source code ke page par paunch jayenge ab aapko CTRL+F press karna hai or aapke sambe ek search box open ho jayega usme aapko apni comment search karni hai jo aane us site par add ki hai jispar aapne backlink banayi hai fir aap dekh sakte ho ki wo backlink dofollow hai ya nofollow jese aap screenshot me dekh sakte hai ki ye Nofollow backlink hai.
to firends is tarah check kiya jata hai ki hamne jo link banayi hai wo dofollow link hai ya nofollow link hai.
agar aap mobile user hai or android phone se blogging karte hai to aap google play store se source code viewer app install karke backlink check kar sakte hai steps wahi hai jo aapko upar bataye gaye hai bs aapko source code viewer app me jaker us site ka url paste karna hai jispar aapne backlink banai hai fir apni comment search karna hai fir aapke samne sab kuch aa jayega ki ye backlink nofollow hai ya dofollow.
friends agar aap blogging karte ho to jab bhi aap kisi ki site par backlink banane jaye to ye jarur check kare ki link dofollow hai ya no follow hai.
Note: ye post sirf aapko backlink ka gyan dene ke liye likhi gayi hai na ki koi controversy failane ke liye is post ke madhyam se aap links ke bare me jan sakte ho is post me hamne sikha ki backlink dofollow hai ya nofollow kaise pata kare.
1 comments:
very Good information
ReplyI want to say something, if you have not read Hanuman Chalisa yet, then you must to read Hanuman Chalisa once.
EmoticonEmoticon