How To Send/share Apps & Games Through Whatsapp 2018: Aap sab ne dekha hoga ki Whatsapp par ham dosto ke sath Video Calling kar sakte hai Imags, Videos, files Documents Share kar sakte hai lekin ham Android Apps And Games ko whatsapp me send ya share nahi kar sakte lekin aisa kaise ho sakta hai ki is problem ka koi solution na ho ji han aaj ki post me mai yahi batane wala hun ki Whatsapp Me Apps And Games ko Friends ke Sath Share kaise kare 2018
How To Send/share Apps & Games Through Whatsapp 2017 |
- How To Make Stylish Long Name ID in Facebook in hindi 2017
- How To Make Stylish Name id On Facebook in hindi
- How To Make Stylish Jungle Name Id On Facebook 2017 In Hindi
Kai baar aisa hota hai ki aapke Friends ke pass kisi apps ya games ka Premium Version hota hai jo aapko bhi chahiye hota hai or agar friend door ka ho to problem bad jati hai aise me ham is trick ka use karke whatsapp se Apps and Game Send kar sakte hai apne friend ko
Share kare whatsapp se apps and games dosto ke sath bina kisi third party apps ke 2018
Aaj kal market me whatsapp ke bahut sare Moded Version aa gaye hai jinse kafi sari cheeje aasan ho jati hai lekin aaj ki post me aapko koi bhi mmodified version download karne ki jarurat nahi hai aapko is trick apna original version hi use karna hai |
Aapne abhi tak to whatsapp me sirf pictures, audio, Video, Documents Send kiye honge lekin aaj se aap whatsapp se apps or games bhi dosto ko send kar sakte hai bs aapko mere diye gaye steps ko carefully follow karna hoga agar aap in steps ko sahi se follow karenge to aap bhi whatsapp se apps share kar sakte hai
How To Send/share Apps & Games Through Whatsapp Hindi 2018
1) sabse pehle aapko jis game ya app ko send karna hai use Rename karna hoga jese app and game ke piche .apk likha hota hai aapko .doc likhna hoga jese aap dekh sakte ho maine Mini_Militia.apk ko Rename karke Mini_Militia. doc kar diya hai
2) jab aap apk ko rename karke .doc kar denge to file par long press karke Share par click kare or share par click karte hi aapko najar aayega ki Whatsapp Share ka option bhi aa raha hai aap whatsapp share ko select kare
3) ab aap dekh sakte ho ki Mini Militia name ki document file whatsapp me sending ho rahi hai
4) jese hi file successfully send ho jayegi uske baad jisko aapne file send ki hai uske phpne me file manager me jaye uske baad Whatsapp Folder + Media Folder + Whatsapp Document Folder me jaye or aapko wo doc file dikhegi jo aapne share ki thi jese maine Mini_Militia. doc share ki thi fir aapko file ko Rename karna hoga is baar aapko .doc ko .apk karna hai jese hi aap file ko Rename kar doge wese hi aapko App ya Game najar aa jayega jo aapne Doc ke name se send kiya tha uske baad aap asani se game ko install kar sakte hai
Is trah se aap kisi bhi games ya apps ko Whatsapp Ke Through Send kar sakte hai agar aapko is trick me koi bhi problem aati hai to comment jarur kare mai aapki help jarur karunga
Aaj ki post: How To Send/share Apps & Games Through Whatsapp 2018 is trick se aap kisi ke sath bhi apps and games send kar sakte hai wo bhi whatsapp se or aane wale time me mai aapko ye bhi bataunga ki whatsapp group me unlimited members kaise add kare:
This post have 3 comments
bhai rename kiya to .doc ke baad phir vo .apk aajata h
Replybhai agar doc se wapas apk hora hai to aap .txt bhi laga sakte ho apk ki jaga
Replybhai agar doc se wapas apk hora hai to aap .txt bhi laga sakte ho apk ki jaga
ReplyEmoticonEmoticon