Android App Editor ki jarurat hame tab padti hai jab ham android apk, Games ke Names, files, icons edit karte hai or apk edit karne ke liye Apk Editor Pro Best Application hai isme aapko kai sare feature milte hai jine aap phone ko bina root kiye hi use kar sakte hai or agar aap apne android phone ko root karna chahte hai to yaha click kare is post Me Maine Top 5 Android Root apps ke baare me bataya hai
Is post me mai aapko bs itna hi bataunga ki apps and games ka name package name colour icons etc change karke app ko modify kaise karte hai lekin aane wali posts me mai aapko bataunga How To Make Online PHP Script of any Referral And Earn Android app 2017 or sath hi sath ye bhi bataunga ki API kya hai API Key kya hoti hai or app I'd ka kya use hai ye sab aapko janne lo milega sirf tekonly par
Android Phone Me Auto Call Recording On (Enable) Kaise Kare
WiFi ka password hack kaise karte hai Android phone se (without root)
Android phone me IP address ko hide kaise karte hai {top 5 apps se}
How To Rename Android Apps and Change their Icons
Apk editor Software Google play store par paid milta hai isliye aap ise play store se download nahi kar sakte isliye mai is app ko free me download karne ke liye link dunga jiski help se aap is apk editor ko free me download kar sakte haiApk Editor application ke faide ||
Apk editor ka sabse bada faida ye hai ki is app ki help se aap kisi bhi Referral and earn app ko Hack kar sakte hai jese ki Mcent ! apk editor se aap mCent App Bypass karke Unlimited Mcent Money Earn kar Sakte hai
Android Application Ke Name Ko Edit And Rename Kaise Karte hai Apk Editor Se
1) sabse pehle yaha se download karne : Apk Editor Pro For Android
2) app ko open kare or Select Apk From App par Click Kare
3) ab us Application par click kare jiske Name ko aapne edit karna hai jese Maine Mini Militia par click kiya hai click karne ke baad Common Edit click kare jese aap screen shot me dekh sakte ho
4) Common Edit par Click karne ke baad aapko app ka real name change karke koi bhi name add kar dena hai jese Maine mini militia game ke name par likha hai mini militia mod by Ammi Singh Aise hi aapko bhi kisi bhi aap ka name change karna hai or Save par click karna hai
5) save karne ke baad aapko app install karne ka option dikhega aapko Install par click Karna hai
Install par click karte hi aapke application and game ka name change ho jayega jese Maine kiya hai
Android app and Game ke icons kaise change/Edit kare
Upar Jo steps Maine aapko bataye WO the android app ke name ko rename edit karne ke liye or ab mai aapko bata raha hun ki android app and game ke icons change kaise kare
1) android games and apps ke icons ko change karne ke liye Apk editor pro software ko open kare and Select Apk From App par click kare
2) fir jis Apk and game ke icon ko change karna hai uspar click kare or is baar Simple Edit (FILE REPLENISHMENT) par click kare
3) Ab aapko 3 option dikhenge FILES, IMAGES, AUDIOS Images ke option par click kare or app ki profile (icon) par edit ke option par click kare jese screen shot me dikhaya gaya hai
4) ab aap koi bhi photo ko game icon bana sakte hai jese Maine ek icon already picsArt folder me edit karke rakha hai or ab mai ise replenishment kar ra hun
5) ab aap Save par click kare or app ko install kare
fir aap dekh sakte ho ki app ka icon successfully changed ho gaya hai
Aise hi aap Apk editor se apps and games ko edit kar sakte hai or is app se aap apps ke undar ke audio, videos, and files ko bhi edit kar sakte hai
Is post me Maine bataya ki Android Apps And Games Ko Edit/modify Kaise karte hai ab aap bhi aasani se apne name ka android apps and game create kar sakte hai wo bhi android phone me or phone ko without root kiye
To enjoy kare is trick ko or agli bar mai aapko bataunga online referral and earning ke liye php script kaise create karte hai or kisi bhi app ki API kaise Find kare or api key kya hoti hai tab tak ke liye ye editing post enjoy kare
This post have 3 comments
App Edit Karke Google Par Dal Sakte Hai
Replypaly store par nahi daal sakte but google me kisi bhi site par daal sakte hai apna modify kiya huwa app
ReplyTime edit kar sakte kya bhai
ReplyEmoticonEmoticon