aajki post me mai batawunga ki blogger blog par template upload kaise karte hai android phone se dosto aapko to pata hi hai ki is site par aapko blogging bhi sikhai jati hai WO bhi android phone se jese maine apni pichli post me bataya tha ki blogger template zip file ko unzip kaise karte hai ya extract kaise karte hai or is post me aapko android phone se template upload karne ki jankari milegi aapki is topic par poori hindi me help ki jayegi
blogger par blog banana bahut easy hai WO mai apni pehli ki post me bata chuka hun ki free me website blog kaise banate hai blogger par lekin blog banane ke bad sabse jaruri or main kaam hota hai ki uspar ek acha sa template ho Jo user friendly or mobile friendly ho
Template SEO friendly bhi hona chahiye Jo SEO ki najar me best ho or jab koi aapke blog se related kuch bhi google search engine ya fir kisi bhi search engine me search kare to aapka blog top par show ho isliye blog par SEO friendly template upload karna bahut jaruri hota hai
idar mai aapko kuch sites ki list de raha hun jinse aap SEO friendly or mobile friendly templates download kar sakte hai
in sites se aap SEO friendly and mobile friendly templates download kar sakte hai
Blogger par Template ko Upload Kaise Karte Hai Android phone se [ ब्लॉगर पर टेम्पलेट अपलोड कैसे करते है हिंदी में ]
sabse pehle aapke pass google chrome browser ya puffin browser hona chahiye mai puffin browser use karta hun
1) blogger.com par jakar login kare
2) ab apne blog ke dashboard me jaye
3) template ke option par click kare screen shot bhi dikh sakte hai
4) ab Backup/Restore par click kare
5) ab ek popup window khulegi usme aapko choose file par click karena hai
6) choose file par click karke apni template file select kare jise upload karna hai
7) ab aapko upload ki button par click karna hai or kuch der process chalegi fir template set ho jayega
Ab aap dekh sakte hai ki aapka template aapke blog par set ho gaya hai
Note Template aapko us folder me milega jisme aapne use extract kiya hoga jese maine template file name ka folder bana kar usme template XML file extract ki thi to maine usi folder ko select kiya hai or waha se template ko upload kiya hai
aap hamari pichli post bhi bad sakte hai jisme Maine bataya hai ki zip file unzip kaise kare
agar Abhi bhi aapko koi problem aaye to aap comment karke pooch sakte hai mai aapki help karne ke liye 24 hours yaha is site par mojood hun
google AdWords keyword planner tool ko use kaise kare SEO ke liye
website ko google search engine se submit kaise karte hai
aaj ki post me Maine aapko bataya ki blogger blog par template ko upload kaise karte hai android phone se or aane wali posts me mai aapko batawunga ki android phone se template edit kaise karte hai aapko is site par helpful article milte rahenge visit karte rahe or is post ko social sites par chare jarur kare happy blogging-:)
1 comments:
LIKE SAND KAR DO
ReplyEmoticonEmoticon