hello friends mai aaj aapko batawunga ki Android phone me IP address hide or change kaise karte hai top 5 apps se (Hide IP address on android {5 Methods} mai aaj aapko kuch VPN ke baare me batawunga jisse aap Android phone ka IP address change kar sakte hai
hamko android phone ke IP address ko hide karne ki jarurat kyon padti hai (Why We Need to Hide IP Address on Android)
Friends kai baar koi sites kisi kisi country me open nahi hoti kyonki government sites ko blocked kar deti hai tab logo ko IP address hide karne ki jarurat padti hai or wo apna real IP address ko hide karke kisi bhi site ko visit karte hai Jo ek acchi soch hai but internet par kuch users aise bhi hai Jo hacking ke liye IP address hide or change karte hai Jo ki illegal hai so don't use this IP hide trick for illegal work this tutorial only for education |||
How to Hide IP Address in Android in Hindi | aap kuch android apps ko install karke IP address hide kar sakte hai ye mai niche kuch apps ki list dera hun jinko use karke aap android phone ke IP address ko hide or change kar sakte hai
Hide IP Address On Android top 5 apps
*.1 HideMyAss
HMA! Pro VPN Android ke liye ek best VPN hai jisse android phone ka IP address easily hide kar sakte hai aap is VPN ko blocked site ko open karne me use kar sakte hai or apne real IP address ko secure kar sakte hai or aap kisi bhi country ki site ko anonymously visit kar sakte hai
* poore world me kisi bhi website or application ko unlocked kar sakte hai
* asani se country change kar sakte hai
* browsing speed boost kar skte hai
*.2 Hotspot Shield vpn
hotspot Shield VPN free or unlimited VPN hai ispe aapko sign up and registration jesa kuch karne ki bhi jarurat ni hai ye ek full trusted VPN hai or bahut achaa VPN app hai
*.3 TunnelBear VPN
tunnel bear vpn app android phone me location change karne ke liye ek dam mst VPN app hai isse aap koi bhi blocked website ko unblocked kar sakte hai tunnel bear VPN se ham apni Facebook I'd bhi unlock kar sakte hai ye aapki location ko ek dam secure and private rakhega
*.4 CyberGhost VPN
CyberGhost VPN aapko tata spying se bachata hai or ye VPN aapki online privacy ko hackers se safe rakhta hai or aapke device par unwanted ads or malware softwares ko bhi block karta hai
*.5 HideMan VPN
hide man VPN ko aap one click me connect kar sakte hai is VPN se aap anonymously koi bhi site visit kar sakte hai is VPN se koi bhi site aapko track nahi kar sakti or block nahi kar sakti hai
aap in vpn se apna real IP address hide kar sakte hai or apne private IP address se kisi bhi site ko anonymously surf kar sakte hai na hi koi site aapko track kar payegi or na hi koi site aapke IP address ko block kar payegi
I hope aapke liye ye post useful rahi hogi aajki post me hamne sikha ki android phone me IP address ko hide kaise karte hai or IP address hide karne ke top 5 popular software ke baare me ( how to hide IP address )
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon