top 10 windows 8 apps for pc
Best Windows 10 apps to download or try right now |
aaye jante hai kon hai wo top 10 apps PC windows ke liye ( top 10 apps for windows PC)
1) Clover
clover windows explore me tab add karne ka kaam karta hai aap jab bhi computer (windows ki +E) par click karenge to ye naye window ki jaga ek naya tab khol dega browser ki trah yah aapko ek baar me kai windows explore kholne me chutkara dilata hai or alag alag tab ke beech switch karna bhi bahut easy hai ek baar jab aap clover use karna start kar dete hai to aapko aise lagega ki windows he ye feature default me kyo nahi diyaclovr software ko yaha se download kare
2) Everything Search Engine
agar aap windows dwara kisi cheej ko khojne me liye ja rahe Jada time se pareshan hai to everything ko ek moka dain ye bahut hi lightlet file search app hai jo sirf one minutes me aapke sare files ko index kar deta hai iske baad aapke dwara search kiye gaye folder ko lagatar deta rehta haieverything app ko install kare
3) 7Zip
windows bhi zip files kholne or extract karne me wesa hi hota hai jese android lekin agar aap Rar files ko use karne ki soch rahe hai to aapko 7zip download karna chahiye ye7zip app ko download kare
4) music bee
music bee ek bahut hi achaa software hai ye bahut acha music player jisse Jada log khus hai ise aap bhi use kar sakte ho ye windows ka best music player sabit hogamusic bee app ko install kare yaha se
5) Bitdefender
maine aapko ek post me bataya tha 5 top antivirus apps ke baare me jo ki android ke liye the aaj mai aapko bata raha hun PC windows par chalne wale Bitdefender antivirus ke baare me ye ek free software hai aapko ise try jarur karna chahiyebitdefender app ko yaha se download kare
6) VLC media player
VLC media player ek free app hai jo lagbhag har media player ko play karta hai isme aap music ke alawa movies file bhi play kar sakte hai yeh subtitle ko support karta hai or or aise files ko bhi jo double audio se less hai ye sabka favorite media player raha hai hame yakin hai ki ye aapks bhi favorite ban jayega ek baar try jarur kare ye PC ke liye sabse best media player sabit hogavlc media player ko install kare
7) Irfanview
Irfanview ek lightweight or bahut hi power full photo editing tool hai ise kafi log pasand karte hai irfanview sab kuch handle kar sakta hai image khone se lekar screen shot lene ya fir ek sath kai photos ki size kam karne tak ye windows software aapko Photoshop jesa hi experience degairan view software ko install kare
8) Libreoffice
agar aap windows PC user hai to aap kuch premium apps bhi rakhna chahenge agar aap iske liye paise nahi dena chahte to iske option me Libre office ko use kar sakte hai ye app free me uplabhd hai isme Microsoft ki office app wali bat to nahi hai par ye apna kaam bahut better tarike se karegalibreoffice software ko yaha se download kare
9) KeePass
agar aapke pass kai online account hai or unke password bhi ek hai to unke hack hone ke changes bad jati hai isse bachne ke liye aapko password manager use karna chahiye ye aapko strong password password banane me help karega agar aapko apne passwords ko strong banane ke liye koi free app chahiye to aap KeePass ko try kar sakte hokeepass app ko yaha se download kare
10) F.Lux
ham mese jadatar logo ka time computer ya smartphone ke screen par dekhte huye gujar jata hai is Karan se aakhon me dard hone ke chances bad jate hai f.lux app use karke aap apni aankho par dabaw kam kar sakte hai aap is app ko kuch dino ke liye use kare possible hai ki aapko antar jald hi ahisas hone lagega f.lux app aapke aankho ko swast rakhne me aapki help kategaflux app ko install kare
to dosto ye the wo top 10 apps windows PC ke liye ab aapko ye sochne ki jarurat nahi hai ki windows ke liye top best apps kon kon se hai hamne aapko is post me un apps ke baare me bataya jo useful or helpful hai ho skta hai ki aapke pass bhi koi aise hi apps ki list ho to plz hame comments karke jarur bataye ham aapki help jarur karenge to dosto enjoy kare windows ke top 10 apps kaa ( top 10 windows pc apps)
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon