8 WhatsApp Tips and Tricks Everyone Should Know
Jo log har din whatsapp app ka istemal karte hai hamne unke liye kuch majhedar tricks chunkar nikale hai ye tips aapko user experience better karenge
1. group chat or notification ko mute kare
group chat notification kabhi kabhar bahut pareshan karne wale ho skte hai agar aap work kar rahe hai to we band hi ho to better haigroup chat or notification ko mute kaise kare
group chat page par menu button dabaye fir mute par click kare iske baad time frame nirdharit kare ki aap group ko kitni der ke liye mute mode me chahte hai aap time nirdharit karke notification ko bhi disable kar skte hai ye feature web browser par bhi uplabhd hai2) group me kis kis ne aapka message pada
do blue tick se pata chalta hai ki samne wale ne aapka message pada ya nahi aap ye bhi Jan skte hai ki group chat me aapke message ko kis kis ne pada hai
broup chat me kis kis ne aapka message dekha ye kaise pata kare ??
apne dwara bheje gaye message par jor se tap kare isse menu baar par ek circle me (i) najar aayega ispar tap karne ke baad aap jan payenge ki message kis kis ko delivered huwa hai or kis kis ne pada
3. cellular bandwidth bachane ke liye media Disable kare. ( Disable media to save on cellular bandwidth)
whatsapp aapko ye chunne ki ijajat deta hai ki aap kya mobile data par download karna chahiye ya WiFi parsetting me jaye, fir usage me yahan media auto download ka option milega aap ye soch skte hai ki ab image, audio, video or documents ko kis kism ke internet connection par download karna chahiye
4) desk top se profile photo or status badalna ( Change profile photo, status message from the desktop)
is naye feature ko whatsapp web ki left side corner me diye icon par click karke access kiya ja skta hai aap apni profile photo ko laptop ke camera ya webcam se kheenchi photos se badal skte hai drive se nai photo lekar bhi profile photo badli ja skti hai ye feature un groups me bhi work karta hai jinke aap admin hai5. last seen or red Receipts yani blue tick disable kare (Disable Last Seen and Read Receipts aka blue ticks)
default, mode me WhatsApp. yah sarbhjanik kar deta hai ki aapne akhree baar app ko kab use kiya tha aap timestamp, profile photo or status message ko apni chaht ke hisab se sarbhjanik kar skte hai Iphone or android par aapko settings > account privacy me Jana hoga
6. broadcast message bheje ( Send a broadcast message)
ye ek baar mai kai friends ko ek hi message bhejne ki trick haimenu me jaye, fir new broadcast me iske baad un ko chune jinhe message bhejna hai or create par click karke broadcast create kare
7. naye number par migrate kare (Migrate to a new number)
agar aapne apna sim card badal diya hai to aapke pass account information, group or setting migrate karne ka tarika hai dyan rahe aise karne ke sath hi aapka old number delete ho jayeganaye number par migrate kaise kare ??
menu>settings>account>change number iske baad purane phone number ko pehle box me likhe or Nate number ko dusre box me8. likhit message ki jagh voice message bheje )Talk to your phone instead of typing)
ise tips ya tricks to nahi bol skte lekin aapke pass time ki kami hai to message type karne ke bajaye voice message bhej skte hai ya fir Google me boli gayi baton ko text engine ko use karke apne dwara boli gayi baton ko text format me pa skte hai
to dosto ye thi whatsappp ki top best 8 tips tricks jinhe har whatsapp use karne wale log use karna change
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon