-->
.

Friday, 8 April 2016

top 5 android apps jo har kisi ke phone me install hone chahiye

author photo

top 5 apps jo har kisi ke phone par install hone chahiye
Top 5 apps Jo har kisi ko pata hone chahiye 


ham apne smartphone  me Facebook, whatsapp, twitter, instagram jese apps install karna nahi bhulte kyonki ye hamari jindagi ka hissa ban gaye hai aise me kuch apps aise bhi hai Jo aapko intertain bhale hi na karte ho par jarurat padne par aapke kaam jarur aate hai aise hi 5 top or best apps ham leke aaye hai aapke liye Jo aapke phone me installed hone chahiye




aaye jante hai ki kon se hai wo top 5 apps Jo har kisi ke phone me install hone chahiye


1)  LastPass

last pass ek aisa app hai jiske jariye aapko alag alag sites ke liye alag alag password yad rakhne ki jarurat nahi hogi bs yad rakhna hoga to sirf is app ka password is app ko aap android, iphone, or windows phone par use kar skte hai lastpass ko install karne ke baad aap sare password is me store karke rakh skte hai mai to ye hi kahunga ki aapko ye app jarur try karna chahiye

last pass app ko yaha se download kare


2) News Hunt 


aap ghar ho ya office me ho ghoomne jaye desh or Duniya ki taja khabro se apne aap ko update rakhe rakhna jaruri hai aise me news hunt aapke bahut kaam aayega news hunt India ki lagbhag sabhi languages me hai or aaj kal to news hunt app ko download karne par 10 rs mil rahe hai aap news hunt ko friends ko referral karke bhi 10 rs kama skte hai earn kiye gaye paise aapko free charge ke app me milenge

news hunt ko yaha se download kare



3) just dial 

just dial ek aisa app hai jiske jariye aap country ke kisi bhi  sehar me rehkar har trah ke phone number or address ki jankari le skte hai iske alawa just dial app se ham ye pata bhi laga skte hai ki hamara sabse najdiki ATM ki location kya hai iske alaga bhi bahut kuch kar skta hai just dial app

just dial app ko yaha se download kare


4) Google Drive 





Google Drive app se ham apne jaruri documents jese photos, videos, files, presentation ki soft copy karke store kar skte hai Jo aapke smartphone ke storage ko kafi had tak bacha dega aisa karne se aap apne phone par kafi storage bacha skte hai


5) paytm


android iOS Windows users  ke liye bana ye app aapke liye bahut helpful sabit hoga is app se aap ma sirf Bill payment kar skte hai balki phone recharge, money transfer,  or online shopping bhi kar skte hai or paytm app ka or ek faida ye bhi hai ki aap is app se jitne ka recharge karenge uska 50% ya 30% ya 20% cash back milta hai kehne ka matlab ye hai ki apako kuch na kuch wapas milta hi hai chahiye WO 5 rs ho chahiye 1 rs ho

paytm app yaha se download kare



to dosto ye the wo 5 best apps Jo har kisi ke phone par hone chahiye in 5 apps se aapko help jarur milegi ye top 5 apps aapke bade kaam aayenge isliye inhe ek baar to try karna banta hi hai aaj ki post 5 best apps Jo har kisi ke phone par install hone chahiye

1 comments:

avatar
sundar delete 9 March 2017 at 20:21

Bahut badiya list hai,thanks for sharing.

Reply


EmoticonEmoticon

Next article Next Post
Previous article Previous Post
 
< -->