Kaise pata kare phone original hai ya duplicate ??
aaj kal saste smartphone ki dhoom hai har brand ka apna model hai or Jo brand market me popular hai uske nakli phone bhi milte hai isi liye aaj ham lekar aaye hai ye post ki kaise pata kare ki phone nakli hai ya asli
kabhi kabhi to original packing me bhi duplicate smartphone nikal skte hai isliye aapko sawdhan rehna jaruri hai
jab bhi naya smartphone khareede to use ek baar check jarur kar le taki kahin galti se aapke hath me nakli smartphone na aa jaye ise check karne ke tarika bahut aasan hai
sabse pehle gsmarena.com par jakar jo phone karidna hai us model ka sahi number likh le market Jane se pehle agar aap ye kaam kar lenge to aapke liye badiya rahega
phone kharidne se pehle aap jitni research karenge utna badiya rahega
jis smartphone ke model par aapki najar hai uske features ke baare me sab kuch janne ki koshis kare
jab aap smartphone buy kar rahe ho to uske model number operating system ka version or basband version par najar rakhe
android smartphone ki settings me jane ke baad about phone me jakar ye pata kar skte hai ki opreting system kon sa use ho raha hai
jab aap is menu par hai to aapko device number or broadband number bhi dikhega Jo model number aapne suru me note kiya tha ab use ek baar dekh le
smartphone ka IMEI number bhi aapko about ya about phone me mil jayega
smartphone ko ek unique IMEI number hota hai ek baar aapko IMEI number mil gaya use aap website par dalkar check kar sakte hai ki wo smartphone original hai ya nahi
agar IMEI number sahi nahi hai to samajh lo phone nakli hai agar check karte time website par IMEI number dalne ke baad sahi nahi nikalta to us phone ko na khariden
to dosto ye jankari thi pata karne ki aapka phone original hai ya duplicate agar aap bhi Maya phone kharidne wale hai to jara dhyan se dekhkar hi khariden
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon