-->
.

Saturday, 20 February 2016

android phone se website (blog) kaise banate hai hindi me jane

author photo

website kaise banate hai, android phone se website blog kaise banate hai



Android phone me Website (Blog) Kaise Banate hai hindi me Jane


hello dosto aaj ham yaha website ko android phone se banane ki trick share karne wale hai jise wo log bhi website (blog) bana payenge jinke pass pc laptop nahi dosto website banane ke liye PC ya  laptop ki jarurat nahi hai aapko sunke hairani hogi ki meri jo ye tekonly.com website hai ise mai apne android phone se hi chalata hun or aap dekh rahe honge ki meri is website par AdSense ke ads bhi lage huye hai iska matlab ye huwa ki ham android phone se bhi website (blog) bana skte hai or paise bhi kama skte hai main is website ko apne android phone se hi chalata hun or ispe AdSense bhi android phone dwara banaya gaya agar aap bhi chahte hai ki aapki koi website ho or aap apni posts ko Duniya ke sath share kare to aapko ye post padni chahiye






website (blog) banane ke liye kya chahiye


1) ek acha sa android phone KitKat ya lollipop version par chalne wala

2) ek gmail I'd

3) or ek badiya sa browser

dosto yad rahe blog bananne ke liye UC browser or opera mini ka prayog na kare isse aapke blog me problems aa skti hai

blog banane ke liye hamesa Google chrome, CM browser, Mozilla Firefox jese browsers ka hi use kare mere experience se to blog bnanane ke liye Google chrome browser ek Best and better browser hai



website kin kin topic par banaye



agar aapne abhi ye nahi socha hai ki website kon se topic par banani hai to mai apko kuch blogging ke niche bata raha hun

1) tips and tricks Blog
2) Health Blog
3) Car And Bike
4) Reviews Blog

1) tips and tricks blog  ye ek best topic hai blogging ke liye

2) Health Blog ye bhi ek badiya topic hai blog banane ke liye

3) Car And Bike Blog dosto kaha jata hai ki agar aapne AdSense se Jada paise lamane hai to aap cars and Bikes ke baare me likhe is Niche me bahut paise milte hai


4) Review Blog ye bhi better topic hai aap is topic me mobiles, laptop, PC, Iphone jese bahut sare brands ke models ka reviews de skte hai or AdSense ke ads lagake ache paise kama skte hai






aise hi aapko his bhi chij me interest hai aap us chij ka blog bana ke uske baare me post likhkar Duniya ko  dikha skte hai or online business karke online internet ki help se ghar baithe paise kama skte hai



Log Website (Blog) kyo banate hai ??


jadatar log online paise kamane ke liye website blog banate hai or kuch log world me famuse hone ke liye website banate hai or kuch log apne fun ke liye website banate hai par mai aapko bata dun ki Jada log website paise kamane ke liye hi banate hai




ab jada baat na karte huye point par aate hai Hindi me jane Android Phone Se website (blog) kaise banate hai ??


1) apna blog banane ke liye sabse pehle aapko www.blogger.com site par Jana hai


2) blogger site par Jane ke baad aapko apne gmail account se sign in karna hai jese screen shot me dikhaya gaya hai
android phone se website (blog) kaise banate hai, android phone se blog website kaise banate hai



3) ab aapko New Blog ki button par click karna hai





4) ab aapko ane blog ka aapko apne blog ka title or address dena hai


how to make website (blog) in android phone, how to make website



1)  title  me aapko apne blog ka name likhna hai jis name se aap blog banana change hai
2) Address  me aapko apne blog ka URL dena hai jis URL se aap blog Nana chahite hai


3) template bahut si template di gayi hongi unmese koi bhi ek template select kare

4) create blog ab create ki button par click kar de



lo ji ab aapka blog bankar teyar hai ab a
ap niche screen shot me bhi dekh skte hai ki  Blog bnke teyar hai jiska URL abhi allinonehindi.blogspot.com hai


website kaise create karte hai, website blog kaise create karte hai



NOTE  ye yaad rakhe ki aap jo blog banayenge uski link me blogspot.com add hoga agar aapko ye blogspot.com hatana hai to iske liye ek domain ki jarurat hpgi jo ham aage chalke batayenge


I hope aapko hamari ye hindi me Jane android phone se  Website (blog) kaise banate hai pasand aayi hogi agar aapki is post se kuch help Hugi hai to niche + ke button ko dabake is post ko facebook google+ twitter par share jarur kare or agar blog banane me koi problems aari hai to name comments jarur kare ham aapke comments ka jaldi repply karenge

This post have 4 comments

avatar
Ammi Singh delete 21 July 2016 at 20:52

are bhai mai android se hi blogging karta hun or ye screen shot mobile ke browser ka hai Jo desktop version me khol rakha hai agar aap UC opera jese browsers ka use karenge to inse kuch bhi ni hoga android me blogging karne ke liye google chrome browser ya puffin browser ko use karo in me aasani se desktop sites khul jati hai

Reply
avatar
Unknown delete 25 December 2016 at 07:43

Bhai m mobile se blog to bna liya par Google par submit nhi ho rha h
aap ne kaisae kiya tha

Reply
avatar
Unknown delete 22 January 2017 at 05:37

WordPress ka bta bhai..or custom domain add karna bhi bta..😂😂😂

Reply
avatar
Unknown delete 28 January 2018 at 06:41

Oh nice blog its very easy to buy medicine on line thanks for your information...
Thanks, that's extremely good information, cheers.

mobile website builder

Reply


EmoticonEmoticon

Next article Next Post
Previous article Previous Post
 
< -->