Titanium backup app |
hello dosto aaj ham janege ki kaise apne android phone me apps & games ka backup le aaj mai aapko batawunga ki kisi bhi apps and games ko uninstall (delete) karne par bhi wahi data fir se kaise hasil kare jo apps & game ko uninstall karne she pehle tha
man lo aap candy crash game khel rahe ho or aapne Facebook par bhi candy crash game connect nahi kar rakha or aap 400 level paar kar chuke ho to ab galti se aapka game delete ho jata hai to aap game ki levels wapas kaise layenge yahi janne ke liye aaj ye post likh ra hun
apps and games ke backup lene me faide ???
no.1-: agar aap mcent user hai to aapko mcent se ek bhi app download karne ki jarurat nahi hai paise aapko bina apps download kiye hi mil jayenge agar aapke pass amazone app hai to sabse pehle app ka backup lele fir app ko uninstall kar de ab mcent open kare fir amazone app par click kare fir aapne jo backup liya tha usse amazone ko restore kar lein aapko mcent me paise mil jayenge bina app download kiye
no.2-: aap ek hi mobile me 2 accounts chala skte hai man lo aapke pass 2 sim hai or aap task bucks app use karte ho to aap ek account ka backup leke or dusre ko sign up karke aaram se chala skte ho
or bhi bahut sare faide hai apps ke backup banane ke
Ab suru karte hai backup banana sikhne ka kaam
step-:1) sabse pehle aapka phone root hona chahiye agar aapka phone root nahi hai to pehle ye post bade android device ko root kaise kare
step-:2) ab aap titanium backup app ko yaha se download kare download karne ke baad app install kare
step-:3) ab aap app ko open kare fir root prmession aayega allow kare ab app open ho jayegi
step-:3) ab aap kisi bhi app ko select kare or uska backup bana le jese maine earntalktime app ka backup banaya hai
App select kare
Backup par click kare
Lo ji ab aapka backup ready hai ab aap ise restore bhi kar skte hai agar aapke app ka clear data ho gaya ho ya fir uninstall ho gaya ho
backup banane ke baad agar aap app ka clear data bhi karte ho to aap titanium backup app ki help se app ka data restore karke aap apna wahi data fir se pa skte hai
I hope aapko ye Titanium backup wali trick basand aayi hogi aap hamari post ko Facebook or Google + par share karna na bhule thank you
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon