-->
.

Wednesday 6 April 2016

top best 8 whatsapp tips tricks jo har kisi ko pata honi chahiye

author photo

10 WhatsApp Tips and Tricks Everyone Should Know

8 WhatsApp Tips and Tricks Everyone Should Know


dosto aaj aapke liye leke aaya hun top best whatsapp tricks jinhe har koi use karna chahega hamme se jada tar log whatsapp use karte hai adhiktar user ab message bhejne ke liye isi messenger ka use karte hai kyonki lagbhag har koi ispar mojood hai or ye bhi har platform par whatsapp ko sirf Google play par ab tak ek billion se jada baar download kiya ja chuka hai popular ke lihaj se facebook messenger hi iske aas pass hai is app me browser version voice calling feature aa Jane ke baad ise najar andaj kar pana muskil ho gaya hai





Jo log har din whatsapp app ka istemal karte hai hamne unke liye kuch majhedar tricks chunkar nikale hai ye tips aapko user experience better karenge



1. group chat or notification ko mute kare 

group chat notification kabhi kabhar bahut pareshan karne wale ho skte hai agar aap work kar rahe hai to we band hi ho to better hai


group chat or notification ko mute kaise kare 

group chat page par menu button dabaye fir mute par click kare iske baad time frame nirdharit kare ki aap group ko kitni der ke liye mute mode me chahte hai aap time nirdharit karke notification ko bhi disable kar skte hai ye feature web browser par bhi uplabhd hai




2) group me kis kis ne aapka message pada


do blue tick se pata chalta hai ki samne wale ne aapka message pada ya nahi aap ye bhi Jan skte hai ki group chat me aapke message ko kis kis ne pada hai



broup chat me kis kis ne aapka message dekha ye kaise pata kare  ??


apne dwara bheje gaye message par jor se tap kare isse menu baar par ek circle me (i) najar aayega ispar tap karne ke baad aap jan payenge ki message kis kis ko delivered huwa hai or kis kis ne pada




3. cellular bandwidth bachane ke liye media Disable kare. ( Disable media to save on cellular bandwidth)

whatsapp aapko ye chunne ki ijajat deta hai ki aap kya mobile data par download karna chahiye ya WiFi par

setting me jaye, fir usage me yahan media auto download ka option milega aap ye soch skte hai ki ab image, audio, video or documents ko kis kism ke internet connection par download karna chahiye





4) desk top se profile photo or status badalna ( Change profile photo, status message from the desktop)

is naye feature ko whatsapp web ki left side corner  me diye icon par click karke access kiya ja skta hai aap apni profile photo ko laptop ke camera ya webcam se kheenchi photos se badal skte hai drive se nai photo lekar bhi profile photo badli ja skti hai ye feature un groups me bhi work karta hai jinke aap admin hai





5. last seen or red Receipts yani blue tick disable kare (Disable Last Seen and Read Receipts aka blue ticks)


default, mode me  WhatsApp. yah sarbhjanik kar deta hai ki aapne akhree baar app ko kab use kiya tha aap timestamp, profile photo or status message ko apni chaht ke hisab se sarbhjanik kar skte hai Iphone or android par aapko settings > account privacy me Jana hoga


6. broadcast message bheje ( Send a broadcast message)

ye ek baar mai kai friends ko ek hi message bhejne ki  trick hai


menu me jaye, fir new broadcast me iske baad un ko chune jinhe message bhejna hai  or create par click karke broadcast create kare




7. naye number par migrate kare (Migrate to a new number)

agar aapne apna sim card badal diya hai to aapke pass account information, group or setting migrate karne ka tarika hai dyan rahe aise karne ke sath hi aapka old number delete ho jayega

naye number par migrate kaise kare ??

menu>settings>account>change number iske baad purane phone number ko pehle box me likhe or Nate number ko dusre box me




8. likhit message ki jagh voice message bheje )Talk to your phone instead of typing)


ise tips ya tricks to nahi bol skte lekin aapke pass time ki kami hai to message type karne ke bajaye voice message bhej skte hai ya fir Google me boli gayi baton ko text engine ko use karke apne dwara boli gayi baton ko text format me pa skte hai




to dosto ye thi whatsappp ki top best 8 tips tricks jinhe har whatsapp use karne wale log use karna change

This post have 0 comments


EmoticonEmoticon

Next article Next Post
Previous article Previous Post
 
< -->