-->
.

Friday 25 December 2015

Android Phone Ko Garam Hone Se Kaise bachaye

author photo



android phone ko garam hone se kaise bachaye
Android phone ko garam  hone se kaise bachaye

Hello dosto aaj mai aap logo ke liye kuch useful or helpful tips leke aaya hun jo ki is prakar hai ki android phone ko garam hone se kaise bachaye



Mobile jo aaj kal har age ke logo me dekhne ko mil jata hai jisme android phone ke users ki sankhya sabse jada hai or android phone use karne wale har insan ko ye pta hota hai ki uska phone garam hota hai lekin use ye pata ni hota ki aakhir kyon mera phone garam hota hai ??









Mai aapko bataunga ki aakhir  kyon aapka phone garam hota hai  or kaise ham apne phone ko garam hone se bacha skte hai


1-: RUNNING APPS
Mobile ke background me bahut se apps chalte rehte hai jo ki processor  or Ram ko use karte hai jinki wajah se aapka phone garam hota hai or uski speed bhi slow ho jati hai or atakne lagta  hai. Isliye mobile garam hone par  check jarur kare ki background me koi apps run to  ni kar ra


KAISE CHECK KARE

step 1-: Sabse pehle aap aap apne android phone ki settings me jaye

step 2-: uske baad app (applications) par click kare

step 3-: ab aap running app ko select kare jahan aap sabhi background running apps ko dekh skte hai

step 4-: ab aap apps ke icon par click kare or force stop par click kar de to aapke jitne bhi background ranning app hai sab ka force stop kar de

Sab ka force stop karne par aapke background running apps chalna band ho jayega or aapke phone ki speed increase bhi ho jayegi iske bachav ke liye aap ek badiya sa antivirus ko use kare or har 20-25 minutes baad phone ko antivirus se scan kare






2-: VIRUS

Kai baar hamare phone me viras aa jata hai or hame pata bhi nahi chalta iske karan phone garam or hang hone lagta hai


3 -: APPS

Gps or google map ko use karne se bhi mobile jada garam ho jata hai agar in apps ko use karte ho to use karne ke baad ofline kar den


4 -: INTERNAL MEMORY

Kai baar hamare mobile.ki internal memori bhar jane ki wajah se bhi phone garam hone lag jata hai or atakne lagta hai isliye kabhi bhi ho phone ki memory par kuch space bacha ke rakhe



5 -: CHARGER

agar charging ke wakt aapka phobe hang ho to iske liye dusre charger or power socket ko use kare ek baar ye bhi check kare ki charging pin mobile se acche se connect hai ya nahi agar abhi bhi problem aati hai to aap battery badal de ho sakta hai ki aapki battery me problem ho


phone ko garam hone se kaise bachaye



6 -: SOFTWARE UPDATE

Kai baar purane software ki wajah se bhi phone garam hota hai isiliye agar software purana ho gaya ho to update karana na bhule


7 -: APP OVERLOAD

agar mobile pade pade hi garam hora ho to aap samajh jaiye ki mobile overload ho gaya hai or settings me jake battery ko check jare ki kon si application jada battery ka use kar ri hai or use turant off kar lijiye


1 -: COMPRESS DATA
 Mobile browser settings me jakar
Compress data ko active kar de isse aapka data kam kharch hoga or aapka phone garam bhi ni hoga !!!!






Agar aap in sab baton ko dhyaan me rakhenge to aapka phone garam nahi hoga or aap aasani se apne phone ko chala skte ho
Is beech koi bhi problem aaye to comments jarur kare !!







Jankari kaisi lagi please comments jarur kare !!!!

This post have 0 comments


EmoticonEmoticon

Next article Next Post
Previous article Previous Post
 
< -->